Bharat ki bhashae or vividhata
Indian languages and diversity/ bharat ki bhashae or vividhata
Bharat ek vishal desh he. Yha duniya ke baki desho ke mukable bahut vividhata payi jati he. yaha ki sabhyta-sanskariti, bhasha, vesh-bhusha, khan-pan aadi kai chijo me bahut vividhata he or yahi vividhata hamare desh ko ek alag pahchan or duniya ko dekhne ka ek nazariya deti he.
Bharatiy vividhata ki bat he to isme bharat ki bhasha ki vividhata purn(पूर्ण) rup se drastigat(दृष्टिगत) hoti he. Bharat ke har rajya ki bhasha alg he. Vhi agar boliyo ki bat kre to vo to har jile ki alag he, yaha tak ki kisi bhasha ko bolne ki tone(लहजा) bhi badl jati h lagabhg hr 10-20 Km. chalne pr. Yhi hamare bharat desh ki sundrta he jo ise baki sabhi desho s alag karti he.
Bharatiy savidhan ki 8vi anusuchi (८ अनुसूची) me bharat ki 22 bhashao ko shamil kiya gya he jisme . असमिया, उड़िया, उर्दू, कन्नड़, कश्मीरी, कोंकणी, गुजराती, डोगरी, तमिल, तेलगू, नेपाली, पंजाबी, बांग्ला, बोड़ो, मणिपुरी, मराठी, मलयालम, मैथिली, संथाली, संस्कृत, सिंधी, हिंदी भाषा शामिल है।
Bharat ki bhashayi vividhta |
Indian languages and diversity/bharat ki bhashae or vividhata
Bhasha or boli me antar hota he, asal me boli ka hi viksit rup bhasha he. Bhogolik drasti se bhasha ka chhetra viksit hota he or boli ka chhetra simit hota he. Bharat me 19,500 se bhi adhik bhasha or boliya boli jati he or inme se 121 bhashae esi he jo 10,000 ya isse adhik logo dwara boli jati he. Bharat me 2001 ki janganna(जनगणना) ke anusar lagbhg 41% log hindi bolte he vhi 2011 ki janganna me yah sankhya badalkar 43.63% hogayi, vhi dusre no. par jyada boli jane vali bhasha me bangali or tisre no. pr marathi sabse jyada boli jane vali bhasha he. Aapko yah jankr herani hogi ki bharat desh ki rastra(राष्ट्र) bhasha hindi nhi he. Hindi ko rastra bhasha bnane ke kai prayas kiye gye parantu sb nakam hue kyuki south india ke logo ka manna he ki hindi ko unpar thopa jarha he kyuki dakshin bhart me kannd, tamil, telgu, malyalm aadi bhashae vha ki rajya(raj) bhashae he. Jis karn hindi bharat ki rastra bhasha nhi ban payi.
Indian languages and diversity/bharat ki bhashae or vividhata
Kbhi socha he ki bharat me bhashao ki itni vividhata kyu dekhne ko milti he, to aaiye aapko btate he iska karan..Manav k purvaj(पूर्वज) homosapiens the yani hamare purvaj chimpanzee the, ye na bol sakte the, or na hi inki itni budhi thi, ye bilkul janwar ki trah hi the yani janglo me janwaro ke sath milajulkr rahna, ped podhe khana, janwro ka shikar krna matlab kulmilakr ve puri trah se prakrati(प्रकृति) par nirbhar the. Lekin fir jese jese samay bita manav ka vikas hua, manav ne aag ki khoj ki jisse ve bade jangli janwaro se apni shuraksha krne lge, or khana, janwro ka mas paka kr khane lge, or fir pathar ke hathiyar ki khoj hui, is prakar dheere dheere manav ki sochne samjhane ki takat badhi, or isi prakar vo bolne bhi lag gye, vo chimpanzee se ek manushya banne lge. Isi prakar kuch vishesh shabado(शब्दों) ka unhone ek vishesh arth(अर्थ) nikala..or esa to he nhi ki sare aadimanav ek hi sathan pr niwas karte the..ve to ghumakkad(घुमक्कड़) jivan vyatit krte the yani jaha khana pani mila vhi pr ruk jate nhi mila to aage chl dete. Is prakar har jagah ke vatavaran, prakriti me antar ke karn inhone apne aap ko sardi garmi ke hisab se dhal liya or inki boli me bhi vhi chij milti he..hr sathan ke manav ne apni ek alg boli ka nirman kiya or vha ke log us boli ya bhasha ko dheere dheere smjne or bolne lge. Bharat me bhi yhi hua he yha uattar bhart m rahne vale jo aarya he vo yaha ke mul niwasi he or unaki bhasha sanskrit thi, fir samay k sath or dusre desh ke logo ke prabhav se manav badalta gya, or jis samay, Jis chij ne usko prabhavit kiya use manav ne apna liya, isliye hi bharat ki bhasha, sabhyata-sanskriti, khan-pan or pahnawe me itni vividhta dekhne ko milti he.
Or ek bat ye bhi gor karne layk he ki sirf bharat m hi kyu, wishav(विश्व) ki kai purani Sanskritiya thi jese mishra(मिश्र), rom(रोम),yunan(यूनान) parantu in sanskritiyo ke ab sirf avshesh(अवशेष) bache he yani ye sanskritiya ab samapt ho chuki he kyuki inme samay ke sath badlaw ko savikar(स्वीकार) nhi kiya gya jiske karn ye log badlte mahol me, badlti prakriti me apne aap ko nhi dhal ske or aaj ye bas ek itihas bankar rah gye. Lekin bharat me esa nhi he yaha ke log kisi achhe badlaw ko savikar karte he..bas badlaw me samay lagta he. Isi liye aaj bharat ki sabhyata-sanskriti, bhashae aaj bhi jivit he, or inme bahar ki sanskritiyo ka prabhav bhi saf dhrastigat (दृष्टिगत) hota he, or iske prati sabhi me apnatav(अपनत्व) ki bhawna he.
Indian languages and diversity/ bharat ki bhashae or vividhta
Bharat ke bhasha pariwar or bharat ki bhashayi vividhta |
Vese bharat ki yah vividhata hi bharat ki pahchan he, ha kuch bhasha na samjne ke karan kuch muskilo ka samna krna padta h kintu is muskil ko bhi ab english or hindi ne milkar lagabhag samapt kr diya he. Kyuki uttar bharat (north india) or kuch madhya bharat(central india) me hindi ko logo dawara bola jata he, or vhi dakshin bharat me angregi ko logo ne apnaya he jiske karn logo ka aaps me sampark(संपर्क) ban paya he. Bharatiy savidhan me manya 22 bhashae 4 bhasha pariwar se sambandh rakhti he matalb inki 4 bhasha pariwar me banta gya he jo is prakar he...
1.aastrik pariwar(आस्ट्रीक परिवार)= isme log meghalyi or santhali bhasha bolte he. Yah bhart ki 1.8 % logo dwara boli jati he.
2.bharopiy bhasha pariwar, aarya (भरोपिय भाषा परिवार, आर्य ias pariwar ki mukhya bhasha hindi he iske alawa marathi, udiya, gujrati, panjabi, marwadi, asmiya aadi aati he. Lagbhag 73% jansankhya is pariwar ki bhashao ka prayog karti he.
3.dravid pariwar( द्राविड़ परिवार)= ias pariwar me kannd, tamil, telgu, mlayalm prmukh he.
4.chini tibbti priwar(चीनी तिब्बती परिवार)= ias pariwar me tibbati, laddakhi, tripuri aadi bhashae shamil he.
Last me bas yhi kahana chahugi ki hame sabhi ki bhasha, sabhyata-sanskriti ka samman karna chahiye, kyoki yahi bharat ko ek prathak pahachan dilati he.
👌👌👌
ReplyDelete🙂🙂
DeleteHope new education policy will protect this linguistic diversity.
ReplyDeleteHope so..
DeleteKeep it..up..I love your thinking process.. I like you.view..keep acquire knowledge and spread it..I am waiting for you next blog..😉😉
ReplyDeleteThax for your valuable comment..keep connected with my blog..I will publish a new article soon😊
Delete